Chalne hi Chalne mein kitna, Rasta tay kar aa gaye ,
Is safar mein jane hum, Kya kho gaye kya pa gaye,
Manzil to hai aankho mein par, Raste se bhatkane ko,
Saari duniya chhod ke mujhko, Ek tum hi kyon bha gaye.
Abhi dharatal par chalta hoon, Magar hai chhona taron ko,
Abhi mook hoon, par kehta hoon, Mujhe hai pana Paro ko,
Zindagi hai chhoti, au rafataar hamari itni hai,
Asmanjas mein hoon, kaise badlun, ulfat ke angaaron ko.
Sunday, August 9, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)